Businss ki duniya me bahot saari rivalries ki mashoor kahaniya h jahan par ek dusre ko dubane ke liye har koshish ki jaati h lekin ek aisi rivalry h jinhe halat ne ek saath aane par majboor kar diya. Yahan baat ho rahi h Apple aur Microsoft ki.

Aaj iPhone aur iPab banane wali electronics ki duniya ki sabse badi company Apple hamesha se itni kamyab company nahi thi.

1985 me Steve Jobs ko company se nikal diya gaya aur saal 1997 aate-aate company ko taala lagne ki naubat aa gayi kyonki 90 din me ye diwaliya ghosit hone wali thi.

Tab iski madad karne aage aaye Bill Gates jinhone company ko 150 million dollar ka loan dekar isse nayi nayi life line dene ki koshish ki par Apple ne ye loan accept nahi kiya kyonki un dino Apple aur Microsoft rival the.

Lekin 1997 me hi Steve Jobs Apple ke CEO ke taur fir company me wapas aaye aur ,management ko ye deal acept karne ke liye raaji kiya kyonki wo samajh gaye ki Apple ke liye ab karo ya maro ki halat hai.

Par busnines ki duniya me koi bhi deal bina apna fayda dekhe nahi hoti. Microsoft ko bhi iss deal ki utni hi jarurat thi kyonki Microsoft ke khilaf Internet Explorer ko promote karne ke liye dusri companies jaise net-scape ko dabane ke ilzaam lag rahe the aur issi wajah se US Governement Microsoft ko todkar chotte chotte hisso me bantne ke kagar par thi.

Iss deal se Jahan Apple ko apne research projects ke liye fund mila aur 2001 me Apple ne iPod launch kiya jo hit product ban gaya wahi Microsoft ko bhi apni image sudharne ka mauka mila aur aaj dono companies ka total market cap lagbhag 5.5 Trillion dollar h.

1 Trillion = 1 lakh crore

#adigitalblogger #stockmarketindia #stockmarket #shorts #short #billgates #billgates #shortsvideo

12 Comments

  1. कौन कौन मानता है माता पिता के चरणों में स्वर्ग है ❤️🙏